Kanz e Aza

Hai Shahadat Hasan

A noha for Imam Hassan Askari (a.s), written by Mir Bober Ali. Lyrics in Roman Urdu.

aaj majlis may sab hai khule sar

hai shahadat hassan askari ki


khud imam e zamana hai muztar

hai shahadat hassan askari ki


khaak udaati hai turbat may zehra

janasheen e naqi mera pota

zehr se tujhko maara sitamgar

hai shahadat hassan...


zehr ki seh ke maula aziyyat

karte hai aaj dunya se rukhsat

kamsini hi may haye muqaddar

hai shahadat hassan...


mera waali gaya aaj maara

mai hui aaj se be-sahara

kehti jaati hai narjis tadap kar

hai shahadat hassan...


zaalimon ka hassan tha nishana

ro rahe hai imam e zamana

ghamzada hai ali o payambar

hai shahadat hassan...


lijiye momino ka bhi pursa

karte hai do mahine se girya

haq adaa ho saka na baraabar

hai shahadat hassan...


aaj maghmoom shia hai saare

unke aaqa hai jannat sidhaare

kyun na roye bober bhi tadap kar

hai shahadat hassan...