Kanz e Aza

Kahun Kaise Musibat

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Mir Bober Ali. Lyrics in Roman Urdu.

kahun kaise musibat fatema ki

lehad par bhi hai aafat fatema ki


kiya pamaal marqad ko shaqi ne

badi jis se aziyat fatema ki

kahun kaise musibat...


meri turbat pe tum har roz aana

ali se thi wasiyat fatema ki

kahun kaise musibat...


ali ki aankh se behte thay aansu

rulaati thi shahadat fatema ki

kahun kaise musibat...


kare sarkar khud tazeem us ki

koi samjha na azmat fatema ki

kahun kaise musibat...


mil kab qabr may bhi chain us ko

hui mismaar turbat fatema ki

kahun kaise musibat...


ujaala hai na marqad par hai saaya

bataun kya mai ghurbat fatema ki

kahun kaise musibat...


nikal kar parda e ghaibat se maula

karo ta'meer turbat fatema ki

kahun kaise musibat...


azadaron udao khaak sar par

hui hai phir se rehlat fatema ki

kahun kaise musibat...


mitaya jis ne qabr e aal e hyder

bober us par hai laanat fatema ki

kahun kaise musibat...