Kanz e Aza

KAONO MAKA'N ME BARPA

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Rasheed Shaheedi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Maghmoom hain fazae'n, rota hai zarra zarra

Bechain hain hawae'n, aur kar rahi hain giriya

Har simt hai udaasi, har simt hai andhera

Chashme falak hai purnam, veera'n huwa Madina


Kaono maka'nme barpa Maatam hai Fatima ka


Baade Rasule Akram, kya waqt aapada tha

Har lamha the masa'eb, dil tukde ho raha tha

Athaara saal ka sinn, aur haath me asa tha

Un aafato'nme jeena, Zehra ka Hosla tha


Kaono maka'n me barpa Maatam hai Fatima ka


Sehti Rahi musibat, payham Nabi ki Beti

Karti thi Sabr har dam, Mazloom Shaahzadi

Pahlu shikista Bibi, khud pisti thi chakki

Duniya se Ja rahi hai, Khidmat me Mustafa ki


Kaono maka'n me barpa Maatam hai Fatima ka


Ghurbat ka hai zamana, kaisi ye bekasi hai

Moula-e Dojaha'n par, uftaad ye nayee hai

Mushkil Kusha pa kaisi, mushkil ki ye ghadi hai

Tanhaai Murtaza ki aansu baha rahi hai


Kaono maka'n me barpa Maatam hai Fatima ka


Dekha Janaza Maa ka, Rowe Hussaine Muztar

Aayi Sada-e Zehra, Ye Maa Nisaar Tujh par

Rona Tera gawara, kaise Karegi Maadar

Seene se Main Lagaloo'n, Aaja Hussain Dilbar


Kaono maka'n me barpa Maatam hai Fatima ka


Zehra ka to Janaza, tareek shab me utha

Yaad aate hain Rasheed ab, Bazare Shaamo Kufa

Wo Betiya'n Ali ki, bechaadari ka charcha

Wo Aalame Aseeri, wo oont bekajawa


Kaono maka'n me barpa Maatam hai Fatima ka