Aye momino ye Gham hai Ibadat, karte raho Besheer ka Maatam
Maatam hai ye Shabbir ki Nusrat, karte raho Besheer ka Maatam
Ankhon me rahe Pyaaso'n ki rudaad, karte raho Besheer ka Maatam
Shashmaahe Mujahid ki Musibat, karte raho Besheer ka Maatam
Bechainya'n wo jhoole se gir kar, Labbaik wo Halmin ki Sada par
Chhe maah ka sinn Shoukhe Shahadat, karte raho Besheer ka Matam
Shabbir ki tanhaayi wo jangal, Wo dhoop se jalta huwa maqtal
Wo Haathon pe Shashmah wo ghurbat, karte raho Besheer ka Matam
Wo sookhi zabaa'n pherna Lab par, Wo Nanha gala teere sitamgar
Aur Baap ke haathon pa Shaahdat, karte raho Besheer ka Maatam
Badhna wo kabhi jaanibe Khaima, Haathon pa liye Bete ka Laasha
Mazloom Musaafir pa Qayamat, karte raho Besheer ka Maatam
Sheh ne kiya aise me hame yaad, Jab Ghar huwa pardes me barbad
Tanhaayi me Pyaase ki Wasiyat, karte raho Besheer ka Maatam
Maa ke liye Ghurbat hai ye kaisi, Jnoola huwa Shashmaah ka khaali
Aaghosh ka Paala Huwa Rukhsat, karte raho Besheer ka Maatam
Sheh sonchte hain Maa se Kahe'n kya, Kis tarha de'n Us Bibi ko Pursa
Ab kaise hawaale kare'n Mayyat, karte raho Besheer ka Maatam
Hai doodh ki ja khoon labo'n par, aur Tann se juda Phool sa wo Sar
Maa Dekhti hai Bete ki haalat, karte raho Besheer ka Maatam
Hamlog hain Parwaanaye Shabbir, Wallah ye hai khaabi ye taqdeer
Hai Pyaason ka Gham apni Ibadat, karte raho Besheer ka Maatam
Is Gham me Rasheed ashk bahae'n, Lab par ho musalsil ye Duae'n
Ham sab karein Karbal ki Ziyarat, karte raho Besheer ka Maatam