Kanz e Aza

Kaun Kehta Hai ke

A noha for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

kaun kehta hai ke darya ki rawani de do

zaalimo asghar e baysheer ko pani de do


sheh ne ehtemaam ki hujjat ali asghar tum bhi

ab jo dena ho wo paigham zabani de do

kaun kehta hai ke...


ummate jad ki hai bakshish ka sakina ye sawaal

tashnagi lelo ghame tashna dahani de do

kaun kehta hai ke...


hashr tak bhool na paye ye zamana jis ko

aaj tareekh ko ek aisi kahani de do

kaun kehta hai ke...


maalik e kausar o tasneem ali ke ho pisar

alqama cheez hai kya hyder e saani de do

kaun kehta hai ke...


khusk reti pe safeena hai kate haathon se

kashti e deen e elaahi ko rawani de do

kaun kehta hai ke...


baksh do deen ko hamshakle payambar ye shabab

aaj islam ko akbar ye jawani de do

kaun kehta hai ke...