kazim ka hai janaza baghdad ke pul par
rone ko aayi zehra baghdad ke pul par
pacheeswi rajab ko taboot hai ye kaisa
dooba hua lahoo may zanjeer may hai jakda
hai teen din se rakha baghdad ke pul par
kazim ka hai janaza...
haroon ne na-jaane kaisa zehar diya hai
tan paash paash haye kazim ka ho gaya hai
gathri may aaye maula baghdad ke pul par
kazim ka hai janaza...
beta imam ka hai baba imam ka hai
sheh ki tarha se is pe ghurbat ki inteha hai
be-gor o be-kafan tha baghdad ke pul par
kazim ka hai janaza...
jis be-watan ki mayyat mazdoor ne uthayi
mayyat pe jis padar ki beti bhi ro na paayi
roti hai us ko dunya baghdad ke pul par
kazim ka hai janaza...
utre badan ke tukde zanjeer may lipat kar
masooma dekhti to mar jaati wo wahin par
kis haal may hai baba baghdad ke pul par
kazim ka hai janaza...
sarwar ki laadli pe chauda baras jo roya
abid ko saath leke karne ko us pe girya
aati hai khud sakina baghdad ke pul par
kazim ka hai janaza...
uth'ta hai jab janaza haye saathwe ali ka
karne ko us pe girya aati hai bibi zehra
logon adab se aana baghdad ke pul par
kazim ka hai janaza...
jab kazmayn jao kazim ka gham manane
ay arsalan o mesum wajib hua hai tum pe
taboot tum uthana baghdad ke pul par
kazim ka hai janaza...