Kanz e Aza

Kazim Tere Laashe Pa Nazar Ati Hai Zehra

A noha for Imam Moosa e Kazim (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Kaazim (asws) Tere Laashe Pa Nazar Aati Hai Zahra (asws)

Zanjeer ko zakhmoñ se juda karti hai Zahra (asws)

1 - HAYE KARRIYON SEY LASHEY KO tere jakda hai aise

Ho teer ya talwar koi jism me jaise

Ye dekh ke aankhon se lahu roti hai Zahra (asws)

2 - maathey pa terey maekh jo zaalim ne hai maari

Maula (asws) terey maathey pa laga zakhm hai kaari

Is manzar e pur dard pa ghash khati hai Zahra (s.a)

3 - Tanha teri maiyat ko jo rakkha gaya pul per

Rakkha nahi balkey tujhey phenka Gaya pul per

Ghurbat ko teri dekh tadap jati hai Zahra (s.a)

4 - khooñ mein bhare shanoñ ko jo Kaazim (asws) terey dekha

Abbas (asws) kay shanoñ ne bhi tujh par kiya giriya

Daman mein terey baazu chhupa leti hai Zahra (s.a)

5 - Karta raha tableegh e Aliyun Waliyullah

Is waastey kaazim ko bhi mara gaya Wallah

Nauha teri maiyat pa yehi padhti hai zehra (s.a)

6 - Jab Shimr e sitamgar (al) key tamachoñ ko kiya yaad

Roya wo Sakina (s.a) ko bahot ki badi faryaad

Aanchal sey tabhi us ko hawa deti hai Zahra (s.a)

7 - Sajjad (as) ko zindañ mein bohat roya hai Kazim a.s

Sar os ka patakna raha har raat ko lazim

Haider ko bohat rokay ye batlaati hai Zahra (as)

8 - Purdard masayeb jo ye nasir ney haiñ likkheñ

Kyuñ sun ke na har Matmi khooñ apna bahaye

Ye dekh key manzar ko dua deti haiñ Zahra (sa)