keh rahi thi ye bali sakina
koi mera sahara nahi hai
ho gaye qatl maqtal mein baba
koi mera sahara nahi hai
keh rahi thi ye...
kis se pani ka shikwa karungi
umr bhar ab musibat sahungi
aa gaya raas ammu ko darya
koi mera sahara nahi hai
keh rahi thi ye...
mar gaye ran mein abbas o akbar
ab na qasim rahe aur na asghar
ho gayi aaj se be-sahara
koi mera sahara nahi hai
keh rahi thi ye...
loriyan de ke kis ko sulaaun
kis ko apne galay se lagaun
mar gaya ran mein asghar bhi mera
koi mera sahara nahi hai
keh rahi thi ye...
kaise baare masayib uthaun
darr ye hai mai kahin mar na jaaun
zindagi ne diya aisa tohfa
koi mera sahara nahi hai
keh rahi thi ye...
kya karun koi shikwa kisi se
ab hai dhaaras to bas ek phupi se
kaun aayega dene dilaasa
koi mera sahara nahi hai
keh rahi thi ye...
haye asghar bhi ran ko sidhara
ho gayi aaj se be-sahara
ab jhulaungi mai kis ko jhoola
koi mera sahara nahi hai
keh rahi thi ye...
chaaro jaanib se ghere hai lashkar
lootne aa rahe hai sitamgar
aa gaya daur be-chadari ka
koi mera sahara nahi hai
keh rahi thi ye...
keh rahi ye jab binte sarwar
karwatein le rahe thay bahattar
kya nahi koi mera sahara
koi mera sahara nahi hai
keh rahi thi ye...
munharif is khadar tha zamana
raas aaya nahi qaid khana
mar gayi kehte kehte sakina
koi mera sahara nahi hai
keh rahi thi ye...