ek dukhiya ka nauha tha
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar akbar akbar
andhera hai qayamat ka
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar akbar akbar
lagaate haath mein mehendi
rachaate dhoom se shaadi
magar khoon ka bandha sehra
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar...
tasavvur jab sataata hai
kaleja moo ko aata hai
bade naazon se paala tha
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar...
faqad dunya nahi chodi
kamar shabbir ki todi
ajal se jod kar rishta
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar...
batao kya batayenge
ye gham kab tak chupayenge
tumhe poochegi jab sughra
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar...
jawani khoon mein doobi
kameini lut gayi meri
diya taqdeer ne dhoka
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar...
khayaal aata hai reh reh kar
meri dhaaras dil e sarwar
kaan laa kar tumhe khoya
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar...
zaban par bas ye naale hai
aseer e zulm hote hai
tumhe allah ko saumpa
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar...
tumhe pani na de paayi
balayein tak na le paayi
liye jaati hoo ye sadma
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar...
baraati ban ke sab jaate
dulhan ko le ke ghar aate
yehi armaan tha mera
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar...
kitaabein gham ki padhte hai
saf e matam pe baithe hai
labon par hai yehi nauha
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar...
jo maa keh kar hui ruqsat
raqam karta hai wo ishrat
rahungi tum se sharminda
mere kadiyal jawan akbar
akbar akbar...