muslim ki shahadat pa ye kehti hai ruqayya
baba ye hua kya
kufe ka safar aap ko kya raas na aaya
baba ye hua kya
sunti hoo ke bhai bhi mere maare gaye hai
darya mein pade hai
kamsin thay layeeno ne zara bhi nahi socha
baba ye hua kya
muslim ki shahadat pa...
kufe ke musalman musalman nahi thay
insaan nahi thay
khat bhej ke bulwaya gaya aur diya dhoka
baba ye hua kya
muslim ki shahadat pa...
is umr mein socha na tha jumle ye sunenge
ghut ghut ke rahenge
ab log bulaate hai hamein keh ke yateema
baba ye hua kya
muslim ki shahadat pa...
sunte hai ke masjid mein namazi to bahot thay
bayyat bhi kiye thay
phir aap ko bejurm khata kis liye maara
baba ye hua kya
muslim ki shahadat pa...
jis din se shahadat ki khabar unko mili hai
wo chot lagi hai
dekha nahi jaata hai chacha jaan ka chehra
baba ye hua kya
muslim ki shahadat pa...
marne ki khabar aayi magar kuch nahi maloom
har baat se mehroom
kab aap ko maara gaya kab utha janaza
baba ye hua kya
muslim ki shahadat pa...
aankhon mein teherte hi nahi hai mere aansu
aur ujde hai gaysu
tar hogaya ashkon se mera chota sa kurta
baba ye hua kya
muslim ki shahadat pa...
hai aap wahan karbobala jaata hai kunba
dushwaar hai rasta
kya soch ke hum logon ne choda tha madina
baba ye hua kya
muslim ki shahadat pa...
ishrat unhi lafzon mein asar ghol raha hai
jo dil ki sada hai
ro ro ke sunaya tha ruqayya ne jo nauha
baba ye hua kya
muslim ki shahadat pa...