Kanz e Aza

Sare Muslim Ye

A noha for Hazrat Muslim (a.s), written by Mir Sajjad Mir (2026). Lyrics in Roman Urdu.

ahle haram ka khafila kufe mein dekh ke

ek sar kalaam karta tha naize ki nok se


sar e muslim ye kehta tha sar e shabbir se ro kar

mere maula hua ye kya kata kaise tumhara sar


ye kufi kaisi baatein kar rahe hai ya mera maula

khadi hai berida is bheed mein kya saani e zahra

ye kya zainab ke pathar lag rahe hai baaghi keh keh kar

sar e muslim ye kehta tha...


mai jab ruqsat hua tha haal kab aisa tha hazrat ka

safedi aagayi baalon mein kaise aap ke maula

suna hai laashe akbar par zaeefi aayi hai tum par

sar e muslim ye kehta tha...


meri ghairat gawara kar nahi sakti kabi maula

khula sar dekh loon kaise bhala mai binte zehra ka

mai aankhein band kar loon to guzar jaana behan le kar

sar e muslim ye kehta tha...


meri wo laadli beti teri beti ka hai sadqa

dua karta hon ab jo sang baari ho mere maula

na zakhm aaye sakina ko hameeda ko lage pathar

sar e muslim ye kehta tha...


kaha maine to tou'ah jaam le aayi thi pani ka

wahan nau laakh mein kya koi bhi insan na tha maula

suna hai aap ne pani bohat maanga tahe khanjar

sar e muslim ye kehta tha...


suna hai aap par hasta tha saara shaam ka lashkar

kamar kham ho gayi thi aap ki ghazi ke laashe par

suna hai saath zainab ke uthaya laasha e akbar

sar e muslim ye kehta tha...


ruqayya ne bataya aatika naraaz thi mujhse

usay lagta tha mai imdad ko aaunga kufe se

magar afsos gardan par tumhari chal gaya khanjar

sar e muslim ye kehta tha...


kaha sajjad usne takti hai kya aap ki beti

isi rahwaar ki gardan ki jaanib hai nazar uski

mujhe lagta hai shayad hai wahin us bawafa ka sar

sar e muslim ye kehta tha...