fatema zahra fatema zahra
sayyeda tahera sayyeda
haye sakina haye sakina
zahra ki tarha aansu bahati hai sakina
bachpan may zaeefa nazar aati hai sakina
hyder se shikayat kiya karte thay hamesha
zahra ko musalmano ne rone na diya tha
rone pe tamache yahan khaati hai sakina
zahra ki tarha aansu...
kis karb se guzri hai bataya na kisi ko
zahra ne koi zakhm dikhaya na ali ko
sajjad se zakhmon ko chupati hai sakina
zahra ki tarha aansu...
jalte huwe darwaze ko zehra ne bujhaya
dono ko musibat may kisi ne na bachaya
jalte huwe daaman ko bujhati hai sakina
zahra ki tarha aansu...
zehra ko mila baap pe rone ke liye ghar
allah re shabbir ki beti ka muqaddar
zindan ko azakhana banati hai sakina
zahra ki tarha aansu...
darbar e sahaba may gayi fatema zahra
ye soch ke sajjad ne phir sar na uthaya
darbar sharabi ka hai jaati hai sakina
zahra ki tarha aansu...
zahra bhi bahot tadpi thi furqat may padar ki
par baap ko is tarha sada deti hai bacchi
zahra ko bhi turbat may rulaati hai sakina
zahra ki tarha aansu...
dono ki hi turbat pe andheron ka hai pehra
yun lagta hai sajjad sada deti hai zahra
mehdi tujhe zindan may bulaati hai sakina
zahra ki tarha aansu...