ek laasha utha hai zanjeer bandhe haathon se
kano se rawan khoon hai jurta bhi jala hai
zanjeer bandhe haathon se
ay shimr zara soch kiya zulm hai kis par
ruqsaar nahi warq tha quran ka jis par
haathon se tu ne zulm ka unwaan likha hai
zanjeer bandhe haathon se
ek laasha utha hai...
nazron ke aage baap ki gardan bhi kati ho
khaaye tamache rayt garam par bhi chali ho
is kamsini may itna sitam kis ne saha hai
zanjeer bandhe haathon se
ek laasha utha hai...
wo kehti rahi baba ka sar de do khudara
zindan may bane koi to jeene ka sahara
ummat ne tamachon ke siwa kuch na diya hai
zanjeer bandhe haathon se
ek laasha utha hai...
quran e masayab ki wo masoom si aayat
ghairat ka khuda seene lagaye huwe mayyat
zindan ki dehleez pe khamosh khada hai
zanjeer bandhe haathon se
ek laasha utha hai...
ye baat ahle dard hi samjhenge salamat
sajjad ne ta-umr kabhi dekhi na raahat
chalees baras aankhon se bas khoon baha hai
zanjeer bandhe haathon se
ek laasha utha hai...