Zindaan Andhera Hai Baba-- Dam Ghut-ta Hai Mera Baba.
kyun Chod Gaye Tanha Baba -- Dam Ghut-ta Hai Mera Baba.
1. Hai Ghor Andhera Sa Chaaya.
aankho'n Se Nahi Kuch Bhi Dikhta.
zindaan Hai Ye Kaisa Baba-- Dam Ghut-ta Hai Mera Baba.
2. Maqtal Mein Pukari Mai Baba.
ek Laashe Besar Ne Di Sada.
aaja Hai Idhar Tera Baba-- Dam Ghut-ta Hai Mera Baba.
3. Mai Aapki Itni Chaheeti Thi.
seene Pe Aapke Sote Thi.
ab Qaak Pe Hai Sona Baba-- Dam Ghut-ta Hai Mera Baba.
4. Ab Shumre Layeen L.a. Darata Hai.
rone Pe Tamache Maarta Hai.
dushwaar Hai Ab Jeena Baba-- Dam Ghut-ta Hai Mera Baba.
5. Kaano'n Se Lahoo Behta Hai Mere. aur Gaal Bhi Hai Mere Soojhe.
kurta Hai Phata Mera Baba-- Dam Ghut-ta Hai Mera Baba.
6. Beemar Mera Bhaiya Abid Asws.
zanjeer Me Hai Jakda Abid Asws.
dhate Hai Sitam Aada Baba-- Dam Ghut-ta Hai Mera Baba.
7. Che Maah Ka Wo Mera Bhaiya.
jhoole Se Jo Gir Kar Ran Ko Gaya.
wo Bhi To Gaya Maara Baba-- Dam Ghut-ta Hai Mera Baba.
8. Hote Jo Mere Abbas Asws. Chacha.
hoti Na Ye Mujhpar Joro Jafa.
kab Tak Yeh Sitam Sehna Baba-- Dam Ghut-ta Hai Mera Baba.
9. Sunkar Ye Nauha (ali Haq) Ka.
dete Hai Sada Sab Ahle Aza.
matam Ye Sada Hoga Barpa-- Dam Ghut-ta Hai Mera Baba.
az: Shayer E Ahlebait Janab Ali Haq Sahab.