1. Hai Yateem Ka Nauha , Ab To Aayiye Baba.
Dil Sukoon Paayega, Ab To Aayiye Baba.
2. Maar Kar Layeeno'N Ne Cheen Li Meri Chadar.
Hogayi Mai Beparda, Ab To Aayiye Baba.
3. Chin Gaye Mere Gauhar, Zulm Yeh Hua Mujhpar.
Jal Gaya Mera Kurta, Ab To Aayiye Baba.
4. Aapko Bulati Hu'N, Mai Tamache Khati Hun.
Haal Hai Yahi Mera, Ab To Aayiye Baba.
5. Be Kajawa Naqe Par Baandha Mujhko Zalim Ne.
Zaqmi Hai Mera Seena, Ab To Aayiye Baba.
6. Ris Raha Hai Kaano'N Se Qoon Mere Shaano'N Par.
Ab Bhi Zaqm Hai Taaza, Ab To Aayiye Baba.
7. Is Andhere Zinda'N Mein Kuch Nazar Nahi Aata.
Ghut Raha Hai Dum Mera, Ab To Aayiye Baba.
8. Pyaas Ke Sabab Baba Mujhko Apni Aankho'N Se.
Kuch Nazar Nahi Aata, Ab To Aayiye Baba.
9. Chaar Saal Mein Baba Mai Zayeef Lagti Hun. Aur Kya Kahu'N Baba, Ab To Aayiye Baba.
10. Mar Gayi Kumail Aaqir Tang Qaid Mein Bachi.
Koun Ab Pukarega, Ab To Aayiye Baba.
Az: Meer Kumail Ali(Anjuman E Asghari).