Kanz e Aza

Ab Toh Aajao Shahenshah-e-Wafa

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Ab Toh Aajao Shahenshah-e-Wafa x4

Ro Ro Kahti Thi Sakina Ran Mein x2

Lut Gayi Saaniye Zehra Ki Rida

Shimr Ne Maare Taamache Hai Mere Gaalon Pe

Jhirhkiyan De Ke Uthaya Hai Mujhe x2

Baba Ki Laash Pe Roney Na Diya

Cheen Kar Sab Ki Ridaen, Aur Jalaey Khaimey

Aisa Loota Hai Musalmanon Ne x2

Na Kiya Aale Mohammad Ka Haya

Tumko Abbas Ki Taaqat Pe Bharosa Tha Bohat

Qaid Hone Se Bachaye Tumko x2

Aake Yeh Shimr Ne Zainab Se Kaha

5)Taurdi Maar Ke Akbar Ke Jiggar Mai Barchi

Aur Sitamgar Ne Kaha Mola Se, Ye Suna Hai Ke Tu Saabir Hai Bara

6)Saahib ul Asr Ye Alfaaz Aata Karte Hain

Koi Khubi Ye Nahi Akhtar Ki, Iske Nohon Mai Hai Zahra Ki Dua