Kanz e Aza

Ab Wo Sajjad Na

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Arif Sahab. Lyrics in Roman Urdu.

haye haye shaam haye haye shaam


nok e naiza se dekhlo baba

ab wo sajjad na raha sajjad


jis ghadi berida hui zainab

karbala mein hi mar gaya sajjad


kya hai parda ye shaam waalon ko

teri daadi ne hi sikhaya hai

unhi logon ne meri phupiyon ko

berida shaam mein phiraya hai

kya ghazab hai ke haath phaila kar

maangta hai bas ek rida sajjad

nok e naiza se...


haye jis ne baghair mehmil ke

ghar se baahar qadam na rakha tha

us phuphi ko zamane waalon ne

aap ke baad berida dekha

kaash abbas aaj hote to

ye qayamat na dekhta sajjad

nok e naiza se...


sar pe jab tak tha aap ka saaya

maa'on behno ke sar pe thi chadar

warna mai bhi ali ka beta hoo

jaanta hoo mai jang ke jauhar

dekh kar berida phuphi ka sar

sharm ke maare jhuk gaya sajjad

nok e naiza se...


nanhe bachon ke haath mein pathar

de ke maara gaya sakina ko

pusht e naaqa se bhi giraya aur

taziyane lage yateema ko

mai bandhe haath dekh kar roya

us ne har dard par kaha sajjad

nok e naiza se...


badr o khyber ki jo adawat thi

uska yun inteqam lete hai

shaam ke log bheed mein har dam

meri phupiyon ka naam lete hai

taaziyane to seh gaya baba

tanz lekin na seh saka sajjad

nok e naiza se...


is tarha se bandhe hai rassi se

haath mere galay yateemon ke

na jhukun to zameen se baba

paon uth'te hai nanhe bachon ke

bas ruku mein hi shukr ke sajde

kar ke guzrega ab tera sajjad

nok e naiza se...


jis behan ne hamesha jeene ki

haye abbas ko duayein di

berida sar pe rakh ke haathon ko

usne abbas ko sadayein di

sar sina se wahan gira unka

aur yahan khaak par gira sajjad

nok e naiza se...


apne maula ke ek aansu ka

haq ada na sahaab kar paaya

girte ashkon ki roshnayi se

dil ke qirtaas par yehi likha

kitna gehra tha gham ridaon ka

ya khuda jaanta hai ya sajjad

nok e naiza se...