hussain aaye hai qaime mein ruqsati ke liye
ye imtehan bada sakht hai kisi ke liye
wasiyatein hai labon par to aankh mein aansu
khiza ka waqt hai abid ki zindagi ke liye
nahi koi baaqi siwa e tumhare
juda hogaye hum se ehbaab saare
ye sun sun ke abid ka dil ro raha hai
utho ghash se ruqsat ko aaye hai beta
bahot zakhm seene pa khaaye hai beta
dua do abhi baap himmat na haare
ye sun sun ke abid ka...
paraya watan hai muqalif jahan hai
tumhara to hum se bada imtehan hai
chinenge sakina ke bhi goshware
ye sun sun ke abid ka...
judaai ne sab ki hamay maar daala
hua ghar se ruqsat hamare ujaala
nazar lag gayi hai charaghon ko saare
ye sun sun ke abid ka...
kamar kham hai aankhon mein beenayi kam hai
tumhe kya batayein hamay kitna gham hai
hamay chod kar chal base jahan se pyare
ye sun sun ke abid ka...
nazar lag gayi hai shabihe nabi ko
mere laal hum se kisi ko na poocho
khafa hogaye chand se sab sitaare
ye sun sun ke abid ka...
khuda tum pa koi musibat na daale
utho laal hum bhi hai ab jaane waale
ye ghar baar hai ab tumhare sahare
ye sun sun ke abid ka...
badan hogaya ran mein pamaal kis ka
sunaun mai beta tumhe haal kis ka
sabhi jaan de kar jahan se sidhare
ye sun sun ke abid ka...
koi haq wafa ka adaa kar gaya hai
wo dekho lahoo mein alam bhar gaya hai
chacha jaan sote hai darya kinare
ye sun sun ke abid ka...
kisi par taras zaalimon ne na khaya
falak hil gaya is khadar zulm dhaaya
layeeno ne asghar ke bhi teer maare
ye sun sun ke abid ka...
hai aankhon mein aansu dilon mein talatum
hai dil soz aamir ka itna tarannum
hai wo dard nauhe mein akhtar tumhare
ye sun sun ke abid ka...