Kanz e Aza

Abid Na Kabhi

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Qamar Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

abid na kabhi tauq-o-zanjeer pe roye

haan bekasi e hazrate shabbir pe roye


jab izne wighan le chuke abbas-e-dilawar

dil thaam ke tanhaai e shabbir pe roye

haan bekasi e hazrate…


jab aakhri ruqsat ko hussain aaye haram se

abid pe kabhi aur kabhi hamsheer pe roye

haan bekasi e hazrate…


pani jo mila gyara moharram ki suboh ko

sab ehle haram asghar e baysheer pe roye

haan bekasi e hazrate…


jaayega qamar khuld mein har sheh ka azadaar

dozhak haram us pa jo shabbir pe roye

haan bekasi e hazrate…