allah bemaar dua maange dua maange hai
haye bemaar haye bemaar
ranj iska nahi ek din mein luta ghar mera
gham nahi iska ke pardes mein ye zulm hua
mujhko sab kuch hai gawara pa bache deen tera
allah bemaar dua maange...
meri daadi ne jise pees ke chakki paala
iske laashe ko sitamgaaron ne pamaal kiya
ab kisi par na sitam toote khudaya aisa
allah bemaar dua maange...
bekafan chod ke aaya hoon pidar ka laasha
apne baba ko mai dafna na saka wavaila
aisa majboor na ho jaaye kisi ka beta
allah bemaar dua maange...
haye wo teer e sitam aur wo asghar ka gala
kitne dil chid gaye aur hogaya khaali jhoola
maa ko chain aaye ye bechain labon par hai dua
allah bemaar dua maange...
na rahe qasim o akbar na hi abbas chacha
mar gaye aun o mohamed mera baba na raha
hausla de mujhe karta rahoon mai shukre khuda
allah bemaar dua maange...
kufa o shaam ki raahon ne bahot rulwaya
chadarein chin gayi maa behne huwe beparda
lagta suraj ko grahan chaata kabhi andhiyara
allah bemaar dua maange...
tauq o zanjeer mein jakda hoon gila iska nahi
ye tamanna rahe shukr ke sajde mein jabeen
ummate jad ke liye aaye na lab par naale
allah bemaar dua maange...
bacche girte huwe oonton se safar jaari tha
maayein majboor rasan basta labon par nauha
ab kisi maa ke liye waqt na aaye aisa
allah bemaar dua maange...
baap ki yaad bhi aaye to na roye dukhtar
nanhe rukhsaar sakina ke tamachon ka safar
na mile aise zamane mein kisi ko pursa
allah bemaar dua maange...
wo sakina ki musibat wo galay mein rassi
kaan zakhmi huwe khamosh thi pyasi bacchi
haye is din ke liye reh gaya kyun mai zinda
allah bemaar dua maange...
bibiyan saari rasan basta aseeri ghurbat
wo safar dhoop ka wo pyaas ki shiddat
kaash ye din mera khaleq na mujhe dikhlata
allah bemaar dua maange...
is khadar zulm musalsal thay ghareebon pe rasheed
huwe thay abid e bemaar har ek gaam shaheed
phir bhi honton pe tha bemaar ke bas shukre khuda
allah bemaar dua maange...