Baagqi jis tarha se ab Naam Khuda ka hai Hussain
Tu bhi zinda hai Tera naam bhi zinda hai Hussain
Tu ne jangal me bhare ghar ko lutaya hai Hussain
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Rann me Hamshakle Payambar Ali Akbar sa Jawa'n
Haay wo qatl hua khaa ke kaleje me sina
Uske seene se bas ek khoon ka dariya tha rawaa'n
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Ham baya'n kaise kare'n Pyaas ki gehraai Teri
Thokarein khaana tera kho gayi beenayi Teri
Haaye Wo Laashe Jawa'n Haaywo tanhaai Teri
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Tukde tukde hua Farwa ka Pisar Ibne Hasan
Hogaya Qasime Naoshah ka paamaal badan
Dekhte dekhte bewa hui lamho'n ki Dulhan
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Tere Lashkar ka Muhafiz wo Alamdaar e Wafa
Haath katwa ke kiya jisne Alam ko ooncha
Dil me armaan liye jang ka duniya se gaya
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Mashk par teer laga gurze sitam Sar pa laga
Hoke bedast wo Saqqaa e Haram Bhai Tera
Jaane Kis tarha se ghode se zamee'n par Aaya
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Tera Shashmaaha jo gehwaare se maqtal ko gaya
Zulm ka teer wo Masoom ka Nanha sa gala
Maa ki nazron me hai Besheer ka khaali jhoola
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Ye jo baaqi hain Namaaze'n ye fazaaon me Azaa'n
Aye Shahinshaah e Atash baadshahe Kauno Makaa'n
Hashr tak Deene Muhammad pa hai Tera Ehsaa'n
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Tera Gham har Dil e Momin ki tadap Jaane Batool
Bas Tere Gham ke waseele se Namaaze'n Maqbool
Ashk aankho'n me agar ho'n to Duaae'n hain qubool
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Fakhr karte hain ke Parwana e Shabbir hain ham
Ham jo karte hain Tere Gham me musalsil Maatam
Ham Azadaaro'n pa Abbas ka rehta hai Karam
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Majlise'n karte hain jo karte hain Maatam tera
Hai yaqee'n Fatima Zehra unhe'nDeti hain Dua
Aur unhe milti hai Abbas ke Parcham ki hawa
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Bheegi palko'n ki tadap dil ki tamanna hai Hussain
Hashr tak har Dil e Momin Tera Raoza hai Hussain
Tu har ek toote huwe dil ka Sahara hai Hussain
Goonji maqtal me sadaae'n rowi'n Karbal ki hawaae'n
Aye Shaheede Karbala Fatima Zehra Ke Pisar
Aye Muhammad ke Nawaase AyeMerePyaase Imam
Nazr karta hai Rasheed ab Tujhe askho'n ka Salaam
Aaj har toote huwe dil ki tassali Tera Naam