Jaane Payambar Dilbare Zehra
Apna Bhara Ghar Tu ne lutaya
Ibne Ali Ehsaan Hai Tera
Tu Hai Muhaafiz Kaaba e Haq Ka
Sajde Me Sar Tera Kata
Haay Hussain Pyaase Hussain
Dhoond rahe hain rann me Sarwar
Bechaini se Laasha-e Akbar
Khaate hain har gaam pa thokar
Kaun sahara dega badhkar
Aalam e Ghurbat Dashte Bala
Haay Hussain Pyaase Hussain
Zainab ki Aankhon ke Ujaale
Aun o Mohd rann ko sidhaare
Jang huwi aur khoo'n me nahaaye
Maqtal se jab aaye Laashe
Karti hai Zainab Shukre Khuda
Haay Hussain Pyaase Hussain
Byaah huwi kuchh der na guzri
Rann ko chali Qasim ki sawaari
Kubra baithi sonch rahi thi
Ab ujdegi maang Hamari
Aagaya Dulha ka Laasha
Haay Hussain Pyaase Hussain
Thaame kamar ye kehte the Sarwar
Dashte bala me Shaane kata kar
Qatl huwe Abbase Dilawar
De pursa Mujhko Meri Khwahar
Hogaya Zainab me tanha
Haay Hussain Pyaase Hussain
Bain yehi karti thi Sakina
Chhor gaye kyun Mujhko tanha
Badhta hai jangal ka andhera
Aajaao Aajaao Baba
Deti hu'n kab se Tum ko sada
Haay Hussain Pyaase Hussain
Soti thi seene pa Tumhaare
Tum ne MereNaaz Uthaaye
Shimr ne maare Mujh ko tamaache
Khoon tapakta hai kaano'n se
Neend nahi'n aati Baba
Haay Hussain Pyaase Hussain
Kaisi ghadi hai Aale Nabi par
Ghash me pade hain Abid-e Muztar
Keh de koi Abbas se jaakar
Chheen raha hai Shimr-e Sitamgar
Binte Ali ke Sar se Rida
Haay Hussain Pyaase Hussain
Zainab ke Baazu me rasan hai
Aur labo'n par bas ye sukhan hai
LaashTeri be goro kafan hai
Aaj bahut majboor Bahan hai
Sar pa nahi'n chaadar Bhayya
Haay Hussain Pyaase Hussain
Ham pa ye ehsaan hai Zainab ka
Jis ne diya Majlis ka saleeqa
Karte raho Maatam Pyaaso'n ka
Denge Tumhe Abbas sahara
Binte Payambar dengi Dua
Haay Hussain Pyaase Hussain
Chhalke kuch itne aankhon ke saaghar
Phaili kuch itni ashkon ki chaadar
Chashme Falak hairan hai is par
Soch rahe hain saare Samandar
Kitne hain aakhir Ashk e Aza
Haay Hussain Pyaase Hussain
Zeest ka magsadPyaaso'n ka Gham
Hota rahe ta Hashr ye Maatam
Leke yu'nhi Abbas ka Parcham
Parwaane Shabbir ke har dam
Dete rahinge bas ye sada
Haay Hussain Pyaase Hussain
Keeje Rasheed is Gham ki hifazat
Ashk e Aza hain galb ki qawwat
Karte rahein har dam ye Ibadat
Maatam hai Shabbir ki Nusrat
Goonje faza me bas ye Sada
Haay Hussain Pyaase Hussain