Khoon se maqtal Laal hua hai
Ibne Hasan paamaal hua hai
Laashe ka kya haal hua hai
Tukde tukde hai Dulha
Haay Hussain Wawaila
Noore nazar ghode se gira hai
Sheh ne kamar ko thaam liya hai
BaapPisar ko dhoond raha hai
Hanste hain sab ahle jafa
Haay Hussain Wawaila
Laashe Jawa'n seene se laga kar
Laate hain maidaan se Sarwar
Dekh rahi hai Maa ye manzar
Gham se na marjaaye Laila
Haay Hussain Wawaila
Jaan e hazeen par jor o sitam hai
Daagh PisarBhai ka alam hai
Aankhein pur khoon dil pur nam hai
Haatho'n pa Asghar ka Laasha
Haay Hussain Wawaila
Ghere hain Bekas ko sitamgar
Paas nahi'n Abbas e Dilawar
Koi nahi'n Mazloom ka yawar
Kis ko dein Shabbir Sada
Haay Hussain Wawaila
Dil me basi hai Yaad e Sakina
Maut ka hai maathe pa pasina
Pyaas ki shiddat jalta seena
Yaad hai Dukhiya ka rona
Haay Hussain Wawaila
Goonj rahi Zehra ki fugha'n hai
Tegho'n me Ahmed ka Nasha'n hai
HaayMera Abbas kaha'n hai
Pyaase ka kat'ta hai gala
Haay Hussain Wawaila
Zakhmo'n se sab khoon rawa'n hai
Dil me Ghame farzandeJawan hai
Pyaase ke aankho'n me dhua'n hai
Ghere hai lashkar aadaa ka
Haay Hussain Wawaila
Tapta maatal jalti zami'n hai
Khaliq ke Sajde me jabi'n hai
Yaawaro Nasir koi nahi'n hai
Tegh tale Pyaase ka gala
Haay Hussain Wawaila
Jaane Ali begoro kafan hai
Zainab ke Baazu me rasan hai
Balwe me Sarwar ki Bahan hai
Aale Nabi hai beparda
Haay Hussain Wawaila
Pyaasi hai Aulaade Payambar
Aada ka sairaab hai Lashkar
Pyaasi Sakina Pyaasa Asghar
Saamne behta hai dariya
Haay Hussain Wawaila
Karna hai Mazloom ki Nusrat
Laazim hai Sarwar ki Itaa'at
Ek hai bas ummeede shifa'at
Maatam karlo Bekas ka
Haay Hussain Wawaila
Sarwar ka Gham dil me basa hai
Dhadkan kya hai aaho buka hai
Majlis e Gham Zainab ki ataa hai
Maatam hai Zehra ki Dua
Haay Hussain Wawaila
Parwaane Shabbir ke hain ham
Saath liye Abbas ka Parcham
Karte hain Pyaaso'n ka Maatam
Dete hain Zehra ko pursa
Haay Hussain Wawaila
Hota hai jab Shabbir ka Maatam
Gham se laraz jaate hain do Aalam
Karbobala ke rann se paiham
Aati hai Halmin ki sada
Haay Hussain Wawaila
Zinda hain Jaweed yunhi ham
Apna jeena Sarwar ka Gham
Naam e Ali har zakhm ka marham
Haasil hai Zehra ki Dua
Haay Hussain Wawaila