ZAINABE KUBRA KARTI HAI NAUHA
HAYE HUSSAINA HAYE HUSSAINA
MARGAYA PYASA DILBARE ZEHRA
HAYE HUSSAINA HAYE HUSSAINA
Peet Ke Sar Ko Kehti Thi Zainab 7
Bhai Se Apne Chutgayi Ya Rab
Waqt Ye Mujh Par Aaya Hai Kaisa
Haye Hussaina Haye Hussaina
Mannatau'n Wala Gesuou Wala
Margaya Khakar Sine Pa Naiza
Jeene Ka Mere Tha Wo Sahara
Haye Hussaina Haye Hussaina
Nanhi Sakina Rah Gaye Pyasi
Sogaya Jaakar Naher Pa Ghazi
Kaise Jiyegi Ab Ye Dukhiya
Haye Hussaina Haye Hussaina
Phool Sa Asghar Chal Nahi Paya
Teere Sitam Se Isko Maara
Usko Lahad Me Bhi Nahi Choda
Haye Hussaina Haye Hussaina
Qatl Huwe Jab Run Me Sarwar
Khaimau'n Me Barpa Tha Mahsher
Ahle Haram Me Shoor Bapa Tha
Haye Hussaina Haye Hussaina
Aayi Raza Jab Shame Ghareeba
Zainabe Muztar Karti Thi Nalaa'n
Koi Nahi Hum Hogaye Tanha
Haye Hussaina Haye Hussaina