haaye hussain haaye abbas
manzar ye gham ka dekh ke moula hain ashkbaar
girti hai sar se chadar e zainab bhi baar baar
kulsoom lamha lamha hai'n bechain o beqarar
do bhaiyou'n me kaisi judayi hai ya khuda
maqtal me sar ko peet ke roti hai'n sayyeda
haye hussain haye abbas haye hussain haye abbas
sar ko jhukaye shaah se abbas ne kaha
aqaa mujhe bhi dijiye maidaan ki riza
hasrat hai mere dil me ke mai bhi karu'n wegha
ab dushmanau se aapke mai inteqaam lu'n
hokar shaheed baba se kausar ka jaam lu'n
kehne lage hussain ye sunkar ba chashme tar
himmat hai tum se hi meri ham surat e pidar
kistarha doo'n mai izn ke phat-ta hai ab jigar
ahle haram ki aas alamdar ho tumhi
is fouje haq ke qafila salaar ho tumhi
aansu baha ke bole ye abbas e naamdaar
kab se mai kar raha tha isi pal ka intezaar
seena hai tang dil bhi hai seene me beqarar
aqaa koi bhi monis o yawar nahi raha
salaar tha mai jiska wo lashkar nahi raha
goya huwe hussain ke aye mere bawafa
bachcho'n ki aaho zaari hilati hai dil mera
roti hai unki tashna dahani pe karbala
aale nabi hai'n dasht me be aab o be ta'aam
pehle zara sa kijiyo paani ka intezaam
aayi sakina sunke ye shabbir ki sada
mashkeeza deke ghaazi ko bachchi ne tab kaha
asghar bhi teen roz se pyaasa hai aye chacha
is pyaas ke andhere me khursheed aap hain
ehle haram ki akhri ummeed aap hain
shabbir ne jari ko gale se laga liya
ummul bani'n ke laal se bole shahe huda
bhai sidharo ab ke nigehbaan hai khuda
karke sawaar bhai ko rone lage hussain
ashko'n se apne chehre ko dhone lage hussain
abbas aaye khaimo'n me rukhsat ko jis ghadi
zainab ye boli jao khuda hafiz aye jari
mujhko yaqee'n hai sar se rida meri jayegi
ghazi ne bibiyo'n ko kiya aakhri salaam
chadar ko thaame roti thi saidaniyaa'n tamaam
lehra ke phir alam ke pharere ko bawafa
padh kar rajaz jo tezi se maidaan me gaya
ghazi ka roub dekh ke bhaage sab ashqiya
taari tha ek jalaal dil e kayenaat par
ghazi ne badh ke karliya qabza furaat par
ghazi ke saath pyaasa raha unka raahwaar
mashkeeza bhar ke tezi se paltawo zeeweqaar
chhup chhup ke waar karti thi fouje sitam shiyaar
saqqa adu ke waar se bedast hogaya
ek teer aake khalb me paywast hogaya
karbobala me phir ye qayamat bapa huwi
ghazi ke sar pe gurz laga mashk chhid gayi
dete huwe sada ye gira sar ke bal jari
lije salaam aakhri aye shaahe ins o jaa'n
rone lagi furaat bhi lele ke hichkiyaa'n
aaye hussain laashe pe akber ko thaam kar
bole teri judayi se tuti meri kamar
abbas e zeeweqaar ye bole ba chashme tar
pyaasi rahi sakina ke sharminda hai ghulaam
khaimo'n me laash meri na lejaaiye imam
sheh bole tumne aaqa o waali mujhe kaha
ek baar mujhko bhai pukaro aye bawafa
mu ko jari ne daman e sheh me chhupa liya
bhai pukarte huwe saqqa guzar gaya
goudi me sheh ki sheh ka alamdar margaya
saqqe ke naam se hai ye mansoob anjuman
mohsin kamaal ki ye dua hai shahe zaman
hum sabko ab dikhaaiye karbal kawo chaman
farshe aza bichhaenge matam karaaenge
rouze pe aake ham yahi nouha sunaaeng