haaye noujawa'n akber haaye noujawa'n akber
dete hai sada ran me shahe karbala rokar
haaye noujawa'n akber haaye noujawa'n akber
thokare'n mai khaata hu'n, kuch nazar nahi aata
na sujhayi deta hai, lasha hai tera kis jaa
do sada pidar ko ab ham shabihe paighambar
kya chhupaate ho mujhse, aye mere ali akber
khaak pe tadapte ho kis liye mere dilbar
dard kaisa uttha hai haath kyu hai seene par
tu gawaah rehna aye, hum ko paalne wale
baap ye zaeefi me, noujawaan ke seene se
khainchta hai barchhi ko ya ali madad kehkar
laash par pisar ki ye, shahedee'n ka tha nouha
ye zaeef kaandho'n par, noujawaan ka laasha
kis tarha se lejaye qaime me ali akber
khoon se tarbatar akber, chand sa tera chehra
kistarha se dekhegi, maa batao ab beta
sadme se na marjaye teri maa ali akber
jab se tum gaye ran ko, lab pe hai yehi nouha
laal hai mera tanha, aur narghaye aada
muztarib jo qaime ke dar pe hai khadi madar
noujawaa'n ka pursa do, binte fatima zehra
kehte hain ye zainab se, roke shahe karbobala
khaake seene par barchhi margaya mera dilbar
dil ka tha bada armaan, byaah mai rachaungi
baandh kar tujhe sehra, dulha mai banaungi
khaak pe tadapti hai kehke zainab-e-muztar
kis tarha se bhulenge, karbala ka wo manzar
giryae haram jo tha, noujawa'n ke laashe par
aaj tak bhi aati hain ye sadae'n aye anwar