Hai shor abbas aa rahe hai
Nashaane ahmad mitaane waale, buhjhe charaagho'n ka noor dekhei'n
Inhi'n charaagho'n se lau lagaakar, charaaghe dee'n jag maga raha hai
Habeebo muslim ke tewaro me, machal rahi hai nayi jawaani
ilaahi maidaane karbala me, shabaab kis kis pa aa raha hai
Kisi bashar me kahaa'n ye khudrat, ye zulm seh kar kare ye himmat
zayeef tooti kamar ke kas kar, jawaa'n ka lasha utha raha hai
Yazeediyat ka nashaan barham, hussainiyat ka buland parcham
gira raha tha jise zamaana, use do aalam utha raha hai
Yahi nateeja hai har bala ka, Yahi khulaasa hai karbala ka
Jo jee raha tha wo mar raha hai, Jo mar raha tha wo jee raha hai