Hai yeh Hussain ka noha hussain luthta hai
Madad ko aaiyeh baba hussain luthta hai
1.Badan pay teer hai paiwast jaan jati hai
Mai kya karu mujhe Amma ke yaad aati hai (X2)
Sahara dejiyeh mola hussain luthta hai
2.Pada hu raith pay foujay sitam nay maraa hai
Mera jigar meray seenay may para para hai (X2)
Dikhiyeh kuch nahi detah hussain luthta hai
3.Nahi hai qasim o akbar nahi alambardaar
Shaheed hogaiyeh maidaa'n may sab meray ghumkhaar (X2)
Ujdar gayee meri duniya hussain luthta hai
4.Keso nay raith uradi hai meri aankhon may
Hai pehrahan mera shumr e layee'n kay haathon may (X2)
Nahi hai Sar pay ammamah hussain luthta hai
5.Simath kay qhaak e shifa sajdaga banatay hai
Khuda ka shukr aada karnay sar jhukayay hai (X2)
Banay hain teer mussallah hussain luthta hai
6.Laga kay zarb sitamgar rula raha hai mujhe
tamachay maarkay zulfon say kheenchta hai mujhe
Hai khoo'n may tar mera chehra hussain luthta hai