Kanz e Aza

Hai yeh matam hussain ka matam

A noha recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

hai yeh matam hussain ka matam kyun na chashmein falak bhi ho purnam

1. mustafa quld mein hain sar nange

hain ali ranjo gham mein doobe huwe

aaj hain fatima ke baal khule kyun na roye saron ko peeth ke hum

2. karbala me yeh kaisa mehshar hai

qaak par deen ka muqadar hai

bosagah-e-nabi pa khanjar hai

khoon barsa rahi hai chashm-e-alam

3. dil mein gham karbala ke rehte hain

ashk ankhon se aap behte hain

hum jo hai hussain kehte hain

zakhm dil ka yahi toh hai marham


hain yeh maatam . . .


4. teer zaalim ka asghar-e-besheer

roke kehte the hazrat-e-shabbir

kis tarha dard ki mitey tehreer

maa ke dil par jo hogayi hain raqam


hain yeh maatam . . .


5. sar aisa bhi kya milega kahin

fikr beton ki mayyaton ki nahi

qaak par binte murtuza ki jabeen

sajda-e-shukr-e-haq me hain paiham


hain yeh maatam . . .


6. husn ka jis ke bol wala tha

jo asar martabat mein aala tha

jisko athara saal paala tha

jaa raha hain who soy-e- mulk-e-adam


hain yeh maatam . . .


7. paikar-e-pyaas run ko jaata hain

sab ka ehsaan run ko jaata hain

ab woh abbas run ko jaata hain

jis se baaqi tha bibiyon ka bharam