sitam ka jisko khiraj bhi hai
usi ka sadiyo pe raaj bhi hai
na taqth baqi na taj bhi hai
hussain kal bhi they aaj bhi hai………… 1. hai abhi baqi humara rehbar
yeh saf ba saf hai ussi ka lashkar
sada yeh matam ki hai barabar
hussain kal bhi they aaj bhi hai…… 2.hussain deen e khuda ka mehwar, sada ye quran ki hai barabar
shaheed marta nahi hai markar
hussain kal bhi they aaj bhi hai…… 3.wohi namaze wohi hai roza, wohi hai quran wohi hai kaba
bata raha hai wajood inka
hussain kal bhi they aaj bhi hai… 4. lahoo mein jinke yazeediyth hai, wohi hai dushman azaa e sheh ke
yeh kam nasab kya mita sakenge
hussain kal bhi they aaj bhi hai…… 5. hai jiske khoon se shafakh ki surkhi
usi ke qabze mein hai khudai
yeh denge chashme falakh gawahi
hussain kal bhi they aaj bhi hai…… 6.hamara karbobala se rishta, sada raha hai sada rahega
mita sakana na mitane wala
hussain kal bhi they aaj bhi hai…… 7.sabeel e ibne ali hai jari, jo tashnalab hai woh peele pani
suno yeh hoor ki sada hai ab bhi
hussain kal bhi they aaj bhi hai…… 8.na shaam o kufa na rai ki daulath, magar hai karbobala salamath
yeh denge kaun o maka shahadath
hussain kal bhi they aaj bhi hai…… 9.nabuwaton ka kafeel bankar
jahan mein naaz e khaleel bankar
baqay haq ki daleel bankar
hussain kal bhi they aaj bhi hai…… 10.fareed hoga who kaisa manzar
khuda kahega jo roz e mehshar
na bachsakega koi sitamgar