la ilaha illallah , la ilaha illallah
yahi hai haq ka bayan la ilaha illallah
jaha hussain wahan la ilaha illallah
1. mohite koun-o- makan la ilaha illallah
jaha hussain wahan la ilaha illallah
2. khayam-e-din ka mahver sada qaton ka ami
woh sajdaga ka nasha la ilaha illallah
3. yaqeen ki manzil-e-awal bhi aur akhir bhi
who karbala ki azaa la ilaha illallah
4. kaha yeh hur ne sada sun ke subha akbar ki
raha na wahm-o-guma la ilaha illallah
5. zamin-e-karbobala par tha asr-e-ashura
faqad dhuwa hi dhuwa la ilaha illallah
6. khuda hi jaane qarar aye kaise laila ko
woh maa ka dil yeh sina la ilaha illallah
7. pinayi abid-e-bimar ko sitamgar ne
gale mein tauq-e-gara la ilaha illallah
8. hisar-e-zulm-o-sitam aur nok-e-naiza par
raha hain vird-e-zuba la ilaha illallah
9. raha na koi bhi baade hussain maqtal mein
bus ek maa ki fugaa la ilaha illallah
10. hussain sar na katate jo roz-e-ashura
jaha mein rehta kaha la ilaha illallah
11. farid shaam-e-ghariba hain ab bhi pesh-e-nazar
woh jalta ghar woh dhoowa la ilaha illallah