karbala mein zainab ko arbaeen manana hai
haal e dil bhi ro ro kar bhai ko sunana hai
1.jab layeen ne kata tha sar ko tere aye bhai
qaime sab jalane ko fauj e ashqiya aayi
ro rahe the sab bache ro rahi thi maa jayi
kaisa sab ka rona tha bhai ko sunana hai
2.raston mein ountoon se girke mar gaye bache
saamne hi maaon ke girke margaye bache
haye garm reti pe girke margaye bache
ro rahi, thi har dukhya bhai ko sunana hai
3.haat pusht se bandhe mujh pe ye jafa dhayi
sar ke bal mein girti thi raastun mein aye bhai
waise hi mein girti thi jistarha gira ghazi
ghazi ko pukara tha bhai ko sunana hai
4.touq -o- bediya pehne chal raha tha ek qaidi
ranj -o- gham ko wo sehne chal raha tha ek qaidi
thak chuki thi zanjeerein chal raha tha ek qaidi
raasta bhi rota tha bhai ko sunana hai
5.shaam ki wo rahein thi be rida they hum bhai
be ridayee mein humko maut kyun nahi aayi
hum sub hi tamasha they bastiya tamashayi
maajera asiri ka bhai ko sunana hai
6.kaise mein bataungi qaid ke sitam bhai
qaid mein sahe hum ne kitne ranj-o-gham bhai
raat oos thi hum par din ko dhoop thi bhai
aasma bhi rota tha bhai ko sunana hai
7.yaad karke roti thi tujhko qaid khane mein
tere sar ko jab paya gham ke ashiyane mein
kuch kami na karte they ashqiya satane mein
haye kaisa sadma tha bhai ko sunana hai
8.pyaas se sabhi bache rote they bilakte they
ek boondh pani ko bhai hum taraste they
saara kunba pyaasa tha bhai ko sunana hai
9.qabr-e-shah par zainab kaise gham manayegi
rassi ke nashan kaise bhai ko dikhayegi
sunke hashmi nouha royegi rulayegi
ab raza ko yeh nouha bhai ko sunana hai.....