langar hai kamar mein abed hai safar mein
ashkoun ki ziya hai ab haq ki sahar mein
1. ummat ne sataya, kya khoon rulaya
they dard ke paikar, zakhmoun ke nagar main
haye sajjad haye sajjad haye sajjad haye sajjad
2. abid ka tadapna, phupiyon se ye kehna
durron ki aziyat, hai hum pa safar mein
haye sajjad haye sajjad haye sajjad haye sajjad
3. hai zainab-e-muztar, be maqna-o-chadar
qaidi bani aayi, baba ke nagar mein
haye zainab haye zainab haye zainab haye zainab
4. nabiyoun ka gharana, ummat ka satana
kaabe ko hai dhana, khaliq ki nazar mein
haye sajjad haye sajjad haye sajjad haye sajjad
5. woh shaam ka manzar, aur abed-e-muztar
hai paoun me bedi, mehshar hai nazar mein
haye sajjad haye sajjad haye sajjad haye sajjad
6. sojao sakina (haye), baba hai na seena
mitti ka hai bistar, aur khaak hai sar mein
haye zindaan haye zindaan haye zindaan haye sajjad
7. wo shaam ki rahein, aur us pa jafaein
hungama-e-mehshar, hai raha guzar mein
haye sajjad haye sajjad haye sajjad haye sajjad
8. har lamha musibat, durron ki aziyat
hai aal-e-mohammed, ghurbat ke safar mein
haye sajjad haye sajjad haye sajjad haye sajjad
9. sar nouke sina par, quran hai lab par
tableeq-e-risalat, hai raah guzar mein
haye mazloom haye mazloom haye mazloom
10.mushkil hai sambhalna, dushwaar hai chalna
zaalim ne pinayee, zanjeer kamar mein
haye sajjad haye sajjad haye sajjad haye sajjad
11.nazron ko jhukale, muh apna chupale
zainab hai khule sar, zaalim tere ghar mein
haye zainab haye zainab haye zainab haye sajjad
12.kode na laga’o, naize na chuba’o
bimaar hai abed, maaro na safar mein
haye sajjad haye sajjad haye sajjad haye sajjad
13.kaanton pe chalaya, abed ko rulaya
ashkon ka talatum, hai deedaye tar mein
haye sajjad haye sajjad haye sajjad haye sajjad
14.dil hashmi ka hai, aur karbobala hai
awaaz-e-raza hai, matam ke safar mein
langar hai kamar mein abid hai safar mein