matam hai bahrobar mein bimar-e-karbala ka
1. chalis saal tak jo rota raha pidar ko
zehr-e-dagha diya hain uss nouhagar pisar ko
mara gaya sitam se pota woh murtaza ka
2. gardan mein tauq thi aur pairo mein bediya thi
humraha karbala se be parda bibiya thi
tha har khadam pe mehshar aur zulm inteha ka
3. tha karbala se koofa koofey se sham jaana
tha saath bibiyon ke zulm-o-sitam uthana
aasa na tha safar yeh islam ki baqa ka
4. khaidi bana tha jismein shabbir ka gharana
mushkil tha saans lena aisa tha qaid khana
bhooley se bhi nahi tha jis mein guzar hawa ka
5. rulva rahi thi sab ko abid ki bekasi bhi
rooh-e-hassan thi naala hyder bhi aur nabi bhi
tukdey jigar tha gham se jannat se fatima ka
6. sajjad ka hai nouha shabbir ka hai matam
lehra raha hai khoo mein abbas ka yeh parcham
sadiq mila sahara taeed-e-sayeda ka