meri beti meri sakina jaan
maa yeh roro ke kar rahi thi bayan
tere rone se zindagi thi yahan
kaisa veeran hogaya yeh makan
1. asr-e-ashoor aur woh sham-e-alam
kaisey bhooloongi main woh zulm-o-sitam
hain nigaho mein aaj tak wo samaa
2. dasht-e-ghurbat se mulk e shaam talak
har sitam dekhti thi chashmein falak
zindagi thi asir-e-tauq-e-gara
3. ab yeh aankon ka kaam rona hai
subha rona hai shaam rone hai
bas teri yaad tere gham mein fugha
4. baad tere yeh zindagi kya hain
yeh andhera yeh roshini kya hain
kis se rudad-e-gham karoo main bayan
5. ab watan jaake kya karoon bibi
koi pooche to kya kahoon bibi
rah mushkil hai yeh nahi aasan
6. tera matam hai aur zikr tera
tere gham mein hai sab yeh aaho bukaa
yeh aza khana bangaya zinda
7. gham yehruk jaaye yeh nahi mumkin
kitni sadiya guzar gayi lekin
hai fareed aaj bhi yeh maa ki fuga