sakina bain karti thi sar -e- sarwar se yeh rokar
nahi ab aas jeene ki huwe itne sitam hum par
jab aaya shaam ke zindan mein farq -e- shahe wala
sakina ke labon par tha bas aakhri nauha . . . . .
qayamat hogayi baba qayamat hogayi baba
azadaro yeh ye nauha hai suno maasoom bachi ka
1. suno baba mere baba huwe hum par sitam kya kya
huwi maqtal mein jab shaam -e- ghariba baad -e-ashura
qayamat hogayi baba . . . . .
2. yatimi bekasi ghurbat aseeri thi nigahon mein
bayan manzar wo kaise ho lagi jab aag khaimo mein
qayamat hogayi baba . . . . .
3. lahu roti thi aankhen dekh kar manzar yeh sham -e- gham
peenai abid -e- bimar ko tauqe gara jisdam
qayamat hogayi baba . . . . .
4.huwe rukhsaar neele chin gaye gauhar jala kurta
na tha jab akber-o-qasim na tha jisdam chacha mera
qayamat hogayi baba . . . . .
5. asiri par hamari khud asiri karti thi matam
rasan basta ba rehna sar gaye bazar mein jis dam
qayamat hogayi baba . . . . .
6. suno baba mere baba haram mein tha bapa mehshar
gaye jab shaam ke darbar mein be maqna-o-chadar
qayamat hogayi baba . . . . .
7. sakina rote rote hogayi khamosh jab akhar
farid usdam kaha yeh abid-e-bimar ne rokar
qayamat hogayi baba . . . . .