sar noukay sina se sarwar ka
quran ki tilawat karta hai
ghar baar luta kar karbal mein
elaan e wilayat karta hai, 1. islaam ko zinda karna tha ummat ko jagana tha
sheh ko, tauheed ki shamma jalti rahe duniya ko dekhana
tha sheh ko, islaam bachakar karbal mein elaan e wilayat
karta hai.
2. tauheed ki qatir sarwar ne sar apna kataya
jungle mein, baba ki wilayat ki qatir khoon apna bahaya jungle
mein, gardan ko katakar karbal mein elaan e wilayat
karta hai.
3. rehjati payamber ki mehnat gar sar na katatay
sajde mein, tauheed bachane shahey deen gar khoon na
bahate sajde mein, tauheed bachakar karbal mein elaan e wilayat
karta hai.
4. gardan bhi katey kunba bhi loutey islaam
bachana tha sheh ko, har haal mein deen e ahmed ka paigaam sunana
tha sheh ko, gulshan ko loutakar karbal mein elaan e wilayat
karta hai.
5. jab nouke sina se shahey deen quran ki tilawat
karte they, surey ki tilawat sun sun kar abid bhi aahein bharte
they, quran sunakar karbal mein elaan e wilayat karta
hai.
6. baiyat ke gale ko kata hai hatoon ko katakar
gaazi ne, shabbir ke maqsad ki qatir jaan kardi nichawar
gaazi ne, maqsad ko bachakar karbal mein elaan e wilayat
karta hai.
7. islaam ki qatir sarwar ne akber ki jawani de
daali, baba ki wilayat ki qatir tasveer nabi ki de daali, akber ko gawaankar karbal mein elaan e wilayat
karta hai.
8. ghode se gira jab qasim to sar peet ke sarwar
rote they, bhai ki nashani ke gham mein jaan apni moula
khote they, tukdoon ko uthakar karbal mein elaan e wilayat
karta hai.
9. chey maah ke asghar ko dekar islaam ko zinda
karna tha, shabbir ko apne nana ke paigam ko zinda karna
tha, laashe ko uthakar karbal mein elaan e wilayat
karta hai.
10. jab hashmi nouha likhta hai sub ahle aza ye
kehte hain, padhta hai raza jo nouha toh har aankh se aansu
behte hai, gharbaar lutakar karbal mein elaan e wilayat
karta hai.