karbobala se khafela jis dam watan mein aagaya
poocha phuphi se waaqaya zainab ne yeh rokar kaha
soghra madina lut gaya . . . .
1. bibi mere dilbar nahi qasim nahi asghar nah
i hum shakl -e- paighambar nahi , zainab ne yeh rokar kaha
2. bibi qayamat thi bapa khajr se jab kata gala
karti thi main aaho buka , zainab ne yeh rokar kaha
3. aaya na saqqa -e- haram baazoo huwe uske qalam
layi hoo main mashk-o- alam , zainab ne yeh rokar kaha
4. wo shaam kaisi shaam thi ghurbat mein qaid-e-shaam
bibi sakina margayi , zainab ne yeh rokar kaha
5.bibi kata kaisa safar manzar tha yeh pesh -e- nazar
nok -e- sina bhai ka sar , zainab ne yeh rokar kaha
6. har simt hain gham ki fiza ab kya madine mein raha
abaad hain karbobala zainab ne yeh rokar kaha
7. karke fida baba pe jaa sab margaye piro jawa
lekin mera asghar kaha , zainab ne yeh rokar kaha
8. bhai ka gham akber ka gham qasim ka gham asghar ka gham
tazeest hain chadar gham , zainab ne yeh rokar kaha
9. kya kya sitam hum par huwe jab sham ke saye bade
chadar chine qaimain jale , zainab ne yeh rokar kaha
10. wo jaa nisar -e- shahedeen cheron pe jin ke the yaqee
sab so gaye zair -e- zameen , zainab ne yeh rokar
11.roye farid ahle aza jis dam ye sughra se kaha
har zulm tha hum par rawa , zainab ne yeh rokar kaha