Sughra Sughra Zainab Ye Aayi Sughra
Bhai Ki Apne Hathoun Se Turbat Banayi Sughra
Sughra Zamin-e-karbobala Khoon Se Lal Hai
Pamal Ran Me Ho Chuka Shabbar Ka Lal Hai
Kubra Dulhan Ko Pal Me Bewa Banayi Sughra
Hathoun Me Resma The Aur Paoun Me Bediyan
Katoun Pa Chalke Aaya Hai Bimar Natawan
Sarta Qadam Bani Hoon Gham Ki Duhayi Sughra
Qasim Nahi Raha Mera Bhai Nahi Raha
Dhoudo Na Usko Bibi Tum Asghar Nahi Raha
Ek Do Paher Me Ghar Mera Apna Lutayi Sughra
Gazi Nahi Raha Mera Akber Nahi Raha
Hathoun Ko De-Chuka Mera Bhai Nahi Raha
Balwe Me Be-Rida Hui Zehra Ki Jayi Sughra
Bhai Ka Khoon Bhara Hua Kurta Mai Layi Hoon
Sath Apne Dekho Ek Ye Tohfa Mai Layi Hoon
Karbobala Me Lut-Gayi Maa Ki Kamayi Sughra
Binte Ali Ka Dekhiye Kya Haal Aaj Hai
Gham Fatima Ke Lal Ka Iqbal Aaj Hai
Zinda Me Rehgayi Teri Khwahar Na Aayi Sughra