Sawaal mujhse karengi ye fatima sughra
Pidar kaha’n hai bahen bhai kis jagah hai chacha
Agar kahongi mai mare gaye sabhi bhayya
Ye sadma Fatima sughra utha na payegi
Watan ko tanha na zainab hussain jayegi
1. Madine walo’n ko jis waqt ye milegi qabar
Safar se aagaye haaye riyaaze paighambar
Kahan hai wo bhi ye puchenge qasim o akbar
Ye sunke karbobala humko yaad aayegi
2. Kahegi kaise ke maare gaye ali akber
Nishaana teere jafa ka hue ali asghar
Luta hai dasht me karbobala ke mera ghar
Ye gham ki maari inhei’n kis tarah batayegi
3. Sitam ki qaid mei soti hai pyaari bhayya ki
Karegi qabr pa zainab ye bain nana ki
Hai pusht zaqmi bohat nana jaan dukhiya ki
Ye sunke qabre payambar bhi thar tharayegi
4. Jab eid aayegi aye mere ladle bhai
Tera hi soug manayegi teri majayi
Naya libaas na pehnegi ye qasam khayi
Kabhi na zainbe muztar khushi manayegi
5. Mai kis tarah se watan jao’n sharm saar hoon mai
Bohat hi zyada mere bhai beqaraar hoon mai
Tum aake dekhlo khud ab bhi ashkbaar hoon mai Ke qaid me safe matam bahen bichayegi