zainab ka tha ye nauha mai kya jawab doongi
poochengi jab ke sughra mai kya jawab doongi
maqtal mein so rahe hai sab godhiyon ke paale
jaa kar watan mein bhaiya mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...
akbar ki mere shaadi kis des mein rachayi
baandha hai kis ne sehra mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...
waada kiya tha jis ne lene ko aayenge hum
ab tak to wo na aaya mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...
qasim hamara bhai ibne hassan kahan hai
jo hum ko chaahta tha mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...
afsos aun o jafar ab tak na milne aaye
ab tak na maine dekha mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...
asghar hamara bhai ab kis ki godh mein hai
aankhon ka hai jo taara mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...
seene pa sone waali wo laadli kahan hai
meri behan sakina mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...
akbar se aayenge jab milne ko unke saathi
qaabu mein dil na hoga mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...
roodaad karbakla ki aa kar madine waale
har ek pata karega mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...
karbobala se wapas ummul baneen ka beta
abbas kyun na aaya mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...
baazu ko dekhte hi poochegi meri nani
ye hai nishan kaisa mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...
jab daakhila watan mein hoga qamar haram ka
zainab ka dil kahega mai kya jawab doongi
zainab ka tha ye nauha...