Kanz e Aza

ZAINAB SE KARBALA KA ZARA MAAJRA SUNO

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, written by Fughan and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Beti Ali ki Turbat e Zehra pa aayi hai

Kurta lahu bhara hua Bhai ka laayi hai


Kehti hai Aye Hussain ki AmmaUthoUtho

Zainab se Karbala ka zara maajra suno


AmmaHamare ranjo masa'eb hai dardnaak

AmmaHamare qalbo jigar ho chuke hain chaak

AmmaHamare Nana ki ummat ne ki dagha

AmmaHamare khoon ko samjhe hain sab rawa'n


Kehti hai Aye Hussain ki AmmaUthoUtho

Zainab se Karbala ka zara maajra suno


Amma taras ke reh gaye paani ko Ham tamam

Amma diya na Ham ko Kisi ne bhi ek jam

AmmaHamare mard tahe tegh hogaye

Amma naha ke khoon me bechare sogaye


Kehti hai Aye Hussain ki AmmaUthoUtho

Zainab se Karbala ka zara maajra suno


Amma pade hain nehr pa Abbas rooth kar

Amma Sakina soti hai zinda'n me be Pidar

Amma kahan se Akbar e mehru ko laaun Main

Amma kahan se Asghar e nadaa'n ko paaun me


Kehti hai Aye Hussain ki AmmaUthoUtho

Zainab se Karbala ka zara maajra suno


Amma Habib Ibne Mazahir zohair eQain

Kaam aagaye hain wo bhi be Nusrat e Hussain

Amma wo Hur ke jis ne sar apna kata diya

Naqshe kafe Hussain me Eema ko pa liya


Kehti hai Aye Hussain ki AmmaUthoUtho

Zainab se Karbala ka zara maajra suno


Amma Hussain Karbobala hi me reh gaye

Amma Hussain saare masa'eb ko seh gaye

Amma Hussain Margaye beyaar o bewatan

Amma Hussain ko na mayaasar huwa kafan


Kehti hai Aye Hussain ki AmmaUthoUtho

Zainab se Karbala ka zara maajra suno


AmmaHamari chaderin bhi chhin gayi tamam

AmmaHamare haal pa hanste the ahle shaam

Amma wo shaam e ghurbat e Shabbir aah aah

Amma wo raat kaali wo sunsaan qatl gaah


Kehti hai Aye Hussain ki AmmaUthoUtho

Zainab se Karbala ka zara maajra suno


Amma ye haal Abid e Beemar hogaya

Zaalim sipah ne le liya bistar ghareeb ka

Amma qadam qadam pa aseeri rula gayi

Gardan me tauq paaun me zanjeer aagayi


Kehti hai Aye Hussain ki AmmaUthoUtho

Zainab se Karbala ka zara maajra suno


Amma wo Bibiyo'n ka tadapna wo shoro shain

Amma rahegi yaad wo aaho buka ke bain

Amma Rabab Roti hai Asghar ko sub'ho shaam

Akbar ko yaad karti hai Laila tashna kaam


Kehti hai Aye Hussain ki AmmaUthoUtho

Zainab se Karbala ka zara maajra suno


Baazu keneel dekhiye AmmaKhuda gawah

Maqtal ki gard ban gayi afsha'n Khuda gawah

Amma ye bebasi ye qayamat ki bebasi

AmmaHamare haal pa Roti hai bekasi


Kehti hai Aye Hussain ki AmmaUthoUtho

Zainab se Karbala ka zara maajra suno


Ammabataaaiye to Main ab jeeke kya karun

Kis tarha ab Hussain ki furqat ka Gham sahu'n

Aayi Fugha'n nida ke sare hashr Ham bhi ab

Kurta lahu bhara hua rakh denge peshe Rab

Beti Tumhara Bhai Shahe Mashragqain hai

Beti Tumhare sabr me Fath'he Hussain hai


Kehti hai Aye Hussain ki AmmaUthoUtho

Zainab se Karbala ka zara maajra suno