Athara saal Maine naazo'n se jisko paala
Kadiyal Jawan Akbar aankhon ka tha ujala
Maara jo zalimo'n ne seene pa uske bhala
Dekha jo zakhm maine mushkil se dil sambhala
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Qasim ki Laask dekhi, tha Jism para para
Asghar jo rann se Aaye Manka dhala huwa tha
Abbas MeraBhai khoo'n me nahake soya
Bedast Hogaya Wo Pyaasi Rahi Sakina
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Hangaame asr Bhayya jab qatl ho raha tha
Ab tak bhi hai nazar me manzar jo Maine Dekha
Magqtal laraz raha tha har simpt tha andhera
Sar Peet'ti thi Amma Lab par tha Wa Hussaina
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Phir baade qatl Sarwar ek raat aisi aayi
Chaadar nahi'n thi Sar par aur bekafan tha Bhai
Ghar zalimo'n ne luta aur aag bhi lagayi
Sholo'n ki roshni me wo karbe beridaai
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Thi Karbala se Kufa har gaam ek musibat
Ek dawr wo bhi guzra Baba kithi Hukumat
Darbar me Hamara jana tha ek qayamat
Sajjad paa barehna aur tawgq ki aziyat
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Darbar e Shaam me jab Aale Rasul pohnchi
Baazu bandhe huwe the Sar par rida nahi'n thi
Wo zulm har qadam par aur bekasi Hamari
Tadpa rahi thi Dil ko Sajjad ki aseeri
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Sab Bibiya'n khadi thee'n Balo'n se Mooh chipaae
Zalim ne baid rakhi Bhai ke Lab pa Haay
Darbar me Khade the hamm Gardanein Jhukaae
Us bekasi me Sabko Abbas yaad aae
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Manzil Hamri thahri tareek qaidkhana
Bigdi huwi thi qismat badla huwa zamana
Bachi ka wo tadapna rokar hame rulana
Naame Hussain par wo zalim ka taaziyana
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai
Zinda'n ka tha wo aalam wahshat baras rahi thi
Beti se milne aayi Baba ki jab Sawari
Faryaad kar rahi thi roro ke Meri Bachchi
Damm tootne ka manzar aur aakhri wo Hichki
Zainab tadap rahi hai faryaad kar rahi hai