Kanz e Aza

Zainab Ye Boli

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Najaf Murshidabadi. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ye boli ay mere bhai tumhare baad

qismat bhawar may zulm ke laayi tumhare baad


kooza sakina haath may hasrat se thaam kar

takti rahi thi suye taraai tumhare baad

zainab ye boli ay mere...

qismat bhawar may...


jis bhai se juda na hui bachpane se mai

sehni padi usi ki judaai tumhare baad

zainab ye boli ay mere...

qismat bhawar may...


naazon se jisko paala tha athara saal tak

mitti may mil gayi wo kamayi tumhare baad

zainab ye boli ay mere...

qismat bhawar may...


is peedi may hussain ne kadiyal jawan ki

kaandhe pe laash haye uthayi tumhare baad

zainab ye boli ay mere...

qismat bhawar may...


larzi zameen aur falak kaampne laga

jab halq e sheh pe taygh chalayi tumhare baad

zainab ye boli ay mere...

qismat bhawar may...


shimr e layeen ka jee na bhara sheh ko maar kar

qaimon may aake aag lagayi tumhare baad

zainab ye boli ay mere...

qismat bhawar may...


tu zinda jab talak raha parda bacha raha

na mehramon ke darmiyan aayi tumhare baad

zainab ye boli ay mere...

qismat bhawar may...


koi madad ke waaste aaya na aal ke

deti rahi mai ban may duhaai tumhare baad

zainab ye boli ay mere...

qismat bhawar may...


pahunchi najaf madine reha hoke qaid se

lekin mili na gham se rehaai tumhare baad

zainab ye boli ay mere...

qismat bhawar may...