Kanz e Aza

Zakhmo se Badan Choor

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mohib Fazli. Lyrics in Roman Urdu.

dahum ko karbobala may bapa hua mehshar

shaheed hogaye yan saare shaahe jinn o bashar

bureeda laasha e abbas hai tarayi par

akela reh gaya maqtal may sibte payghambar

yazeedi fauj ka nargha hai aur ghurbat hai

husssain ran may akele hai kya qayamat hai


zakhmon se badan choor hai tanha hi khada hai

shabbir pe ghurbat may ajab waqt pada hai


narghe may layeeno ke nawasa hai nabi ka

kya ajre risalat ka payambar ko mila hai

zakhmon se badan...


pani ke ewaz teeron ki barsat hui hai

ab chaak gareban payambar ne kiya hai

zakhmon se badan...


shabbir ki nusrat ke liye koi nahi hai

kaisa ye sitam aale payambar pe hua hai

zakhmon se badan...


islam ke seene may utar jaati wo barchi

akbar ne kaleje pe jise rok liya hai

zakhmon se badan...


shabbir ki dhaaras hai ye hamshakle payambar

tapte huwe sehra may jo dam tod raha hai

zakhmon se badan...


maqtal se alam laaye hai shabbir akele

zainab ko yaqeen shaam may jaane ka hua hai

zakhmon se badan...


shabbir ka matam hai muhib ruk nahi sakta

zainab k aye armaan hai zehra ki dua hai

zakhmon se badan...