Kanz e Aza

Zameen Par Laasha

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ali Jaweed Maqsood. Lyrics in Roman Urdu.

zameen par laasha e sarwar pada hai

sar e mazloom naize par chada hai


ali ka laal ahmed ka nawasa

hassan ka bhai zehra ka dulara

sutoon kaabe ka qatil dha gaya hai

zameen par laashae...


zameen jalti hai aur zakhmi badan hai

pisar zehra ka ran mein be-kafan hai

hai beta qaid zainab be-rida hai

zameen par laashae...


idhar sajde mein abid ki jabeen hai

falak larzan hai sakte mein zameen hai

galay mein tauq hai shukre khuda hai

zameen par laashae...


jalay qaime hai aur bekas haram hai

musibat aur aada ke sitam hai

nabi ke ghar ko loota jaa raha hai

zameen par laashae...


rasan basta idhar pyasi sakina

udhar shabbir ka majrooh seena

yateemi ka ye pehla din hua hai

zameen par laashae...


alamdar e hussaini ko bulao

jari ko haal bekas ka sunao

sadayein saara kunba de raha hai

zameen par laashae...


tan e majrooh ka kya haal hoga

nabi ka laadla pamaal hoga

sawaaron ka wo dasta aa raha hai

zameen par laashae...


ulat do ya ali ab is zameen ko

aziyat ho na mere naazneen ko

sar e maqtal pe zehra ki buka hai

zameen par laashae...


fazayein ro rahi hai bebasi par

haram girya hai apni bekasi par

falak aankhon se khoon barsa raha hai

zameen par laashae...


bhula sakte nahi is dard o gham ko

tasavvur hai yehi jaweed hum ko

ye matam karbala mein ho raha hai

zameen par laashae...