Kanz e Aza

Zara Aahista Chal

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Salman. Lyrics in Roman Urdu.

zara aahista chal


maqtal ki taraf ay ahmed ki tasveer

ay sura e yusuf ki roshan tafseer


qaimon ki taraf aada jo badhe

ghutno se lage chalne sarwar

zakhmon ki chuban ne thaam liya shabbir

zara aahista chal...


seene pe mere sone waali

reh jaaye na peeche manzil se

aati thi bureeda sar se sada hamsheer

zara aahista chal...


jab thokar khaa kar girte thay

awaaz mina se aati thi

ay khwab e khaleel e daawar ki tabeer

zara aahista chal...


ek zarb e tabassum se tera

maidan se mita sakta hoo nishan

mai sher e khuda ka pota hoo ay teer

zara aahista chal...


ye qissa e husn o ishq nahi

salman ye gham ka daftar hai

mohsin ye qalam se kehti hai tehreer

zara aahista chal...