Kanz e Aza

Zarre Ko Sheh ne

A noha written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

zarre ko sheh ne mahre darakshan bana diya

hurr ki khatayein baksh ke salman bana diya


quran ko sameint ke nukhte ki shakl mein

haq ne ali ko marqade emaan bana diya

zarre ko sheh ne....


hum to ali ko aine khuda keh ke reh gaye

tauba nusairiyo ne to yazdan bana diya

zarre ko sheh ne....


kam hai ye kaarnama e daure ameer e shaam

emaan ko kufr kufr ko emaan bana diya

zarre ko sheh ne....


kaafir bana diya abu talib se shaks ko

sufiyan se layeen ko musalman bana diya

zarre ko sheh ne....


ghar ko luta ko maaniye zibhe azeem ne

sufiyaniyat ko besar o saman bana diya

zarre ko sheh ne....


pehchan har zamane mein shimr o yazeed ki

kitna hussainiyat ne hai asaan ban diya

zarre ko sheh ne....


sheh ne lahoo se seench ke islam ka shajar

ujde huve chaman ko gulistan bana diya

zarre ko sheh ne....


asghar ki maut ne ali akbar ki maut ne

bano ke dil ko khanaye veeran bana diya

zarre ko sheh ne....