wavaila haye wavaila
zehra ka tha nauha tha
mera kunba ujad gaya
wavaila haye wavaila
rukh kar ke madine ka bano
sughra ko bulaati hai
akbar le lahoo se baalon mein
maa mehndi lagaati hai
kohraam tha qaime mein
laila ka ye nauha tha
wavaila haye wavaila...
khud kaampte haathon se sheh ne
bete ki lehad khodi
shabbir ki ghurbat pe us dam
roti thi khudaai bhi
jab khoon bhare kurte mein
asgahr ko dafan kiya
wavaila haye wavaila...
jo shab ko bani qasim ki dulhan
wo subho ko bewa hui
haathon mein rasan kangne ki jagah
kubra ke baandhi gayi
farwa ne kaha ro kar
pamaal hua dulha
wavaila haye wavaila...
bemaar musafir ke dil par
ek taaza qayamat thi
bazaar ke raste mein jis dam
naaqe se sakina giri
saydaniya roti thi
kohraam tha ek barpa
wavaila haye wavaila...
pehre pe ali ki beti hai
har simt andhera hai
athara baradar thay jis ke
wo dasht mein tanha hai
aur us pe sitam ye hai
baaqi na raha parda
wavaila haye wavaila...
us khoon bhare manzar ko maadar
bhoolegi bhala kaise
bete ko zibha hote dekha
khud apni nigahon se
khanjar na chala zaalim
kehti hi rahi zehra
wavaila haye wavaila...
ay mir takallum yasrab mein
mehshar ka samaa hoga
jab haal safar ka zainab ne
sughra se kaha hoga
sar peet ke dukhiya ne
ye nauha padha hoga
wavaila haye wavaila...