qaime jala diye gaye jayengi ab kahan
zehra ki betiyan
baithi hui hai khaak pe maqtal may be-amaan
zehra ki betiyan
jaaye kidhar na paas may basti na koi ghar
sar se ridayein le gaye kuffaar cheen kar
ghazi ko yaad karti hai le le ke hichkiyan
zehra ki betiyan
qaime jala diye gaye...
sadaat ke khayaam se uth'ta hua dhuaan
wo aag may ghire huwe bachon ki siskiyan
bhoolengi kaise shaam e ghariban ka ye samaa
zehra ki betiyan
qaime jala diye gaye...
koi nahi jo ajre risaalat ada kare
pani na de ridayein to de de koi usay
le ker chala hai dasht se beemar natawan
zehra ki betiyan
qaime jala diye gaye...
mushkil hai jeena sayyed e sajjad ke liye
kaun aayega gharee ki imdaad ke liye
be parda hai khadi hui logon ke darmiyan
zehra ki betiyan
qaime jala diye gaye...
ashoor ki wo subho nigahon may phir gayi
rote huwe azaan suni jab jahan suni
akbar ke baad khaati rahi gham ki barchiyan
zehra ki betiyan
qaime jala diye gaye...
khoon ro raha hai naize pe ibn e ali ka sar
logon ka ek hujoom hai kanton pe hai safar
durre bhi khaaye raah may ek pal ruki jahan
zehra ki betiyan
qaime jala diye gaye...
saydaniyon ke sar hai takallum jhuke huwe
haye khadi hai maadar e abbas saamne
kaise chupaye baazu pe rassi ke ye nishan
zehra ki betiyan
qaime jala diye gaye...